Song: KYA LEKE AAYA
Voice: Pr. Subason Deep
Lyrics & Music: Pr. Subason Deep
Music Arrangement: Amit Raja
Lyrics
Narration
Bade Bade Raja, Maharaj,
Samrat, Sikandar, Rustom
Iss duniya mein
aaye aur aake chalegaye
Aur duniya ne unke
naamo nisaan mita diyan
Kyun ki manyusha ki
ayu ghaas ke saman hoti hai
Woh maidan ki phool ki
nyayi khilta hai
Aur kuchh hi pal mein
woh mit jata hai
Kalam mein Khuda
yuh farmata hai
Buddhiman apne Buddhi par
ghamand na kare
Na Bir apne Birta par
Na Dhani apne
Dhan par fakra kare
Lekin jo koi Ghamand
kare aur Fakra kare
Woh iss baat par
Ghamand kare
Ki woh Khudaband ko
samajhta hai aur usko janta hai
Tum satya ko jaano
Marg, Satya aur Jeevan kewal
Kewal Khudawand Yeshu Masih hi hai
Aur Yeshu ke bina sab kuchh Byarth
Byarth hi Byarth hai
Isiliye aiye hum uss Khudawand Khuda ko jeevan bhar Nihare
Aur Anant jeevan paye
Song:
Kya leke aaya
bhai kya leke jayega
Khali haath aaya
bhai khali haath jayega
Do din ki zindagi hai
do dinn ka mela
Aya hai akela yahan bm - jana hai akela
Kya leke aaya bhai
kya leke jayega
Khali haath aaya bhai
khali haath jayega
Khali haath jayega
Na laya tha saath
kuchh na le jayega
Musafir yahan tu sab
ko chhod jayega (x2)
Ho..........
Kya leke aaya bhai ....
=1=
Dhoka, nafarat, matalab ka hai yeh duniya
Jis se samajh raha (hai tu apna) (x2)
Har riste naate chhutenge sabhi yahan
Jis se keheta raha (hai tu apna) (x2)
Koi na raha na rahega hamesha yahan
Sabko akhir jaana hoga wahan
(jana wahan) (x2)
Yeh duniya hai yeh duniya
Pal do pal ka hai sapna (x2)
Ho..........
Kya leke aaya bhai ....
=2=
Yeh jism jo tera makhmal ka hai chola
Isse mitti mein ek din (hai milna) (x2)
Doulat sohrat takat mitt jayenge yahan
Bande tujhko hai jiss pe
(itna ghuman) (x2)
Bulbul se bhi najook tera jeevan yahan
Thode dino ka hai mehman
tu yahan (hai tu yahan) (x2)
Yeh duniya hai yeh duniya
Pal do pal ka hai sapna (x2)
Ho..........
Kya leke aaya bhai ....
=2=
Iss sansar ko jab tu chhod jayega
Tera saath koi (na nibhayeg) (x2)
Gar yeshu se tu preet lagayega
Tera saath hamesha (woh rahega) (x2)
Yeh duniya hai yeh duniya
Pal do pal ka hai sapna (x2)
Ho..........
Kya leke aaya bhai kya leke jayega
Khali haath aaya bhai
khali haath jayega
Khali haath aaya bhai
khali haath jayega (x6)
=end=

No comments:
Post a Comment